Friday, 27 May 2016

BIOGRAPHY OF SANAM JANG


Sanam Jung is a Pakistani actress, model and VJ, who appears in Pakistani serials. After a brief career as a VJ on AAG TV, She made her acting debut with a leading role in the 2013 Hum TV serial Dil e MUSTAR


Sanam Jung is a Pakistani actress, model and VJ, who appears in Pakistani serials. After a brief career as a VJ on AAG TV, She made her acting debut with a leading role in the 2013 Hum TV serial Dil e Muztar, which earned her Hum Award for Best Television Sensation Female. She subsequently featured in the critically and commercially successful series Mohabat Subh Ka Sitara Hai(2013), Mere Humdum Mere Dost (2014), and Alvida (2015).

Sanum was married in January 2016 to a flight instructor, Syed Abdul Qassam Jafri whom she was dating since 2012

BIOGRAPHY OF FAWAD KHAN


Fawad Afzal Khan is a Pakistani actor and singer. As a singer, he was one of the members of the band Entity Paradigm, an alternative rock band based in Lahore. Their debut album Irtiqa was released in 2003, but the band was dissolved in 2007

Fawad Afzal Khan (born 29 November 1981) is a Pakistani actor and singer. As a singer, he was one of the members of the band Entity Paradigm, an alternative rock band based in Lahore. Their debut album Irtiqa was released in 2003, but the band was dissolved in 2007.
Khan made his film debut with a supporting role in the 2007 Pakistani movie Khuda Kay Liye. He went on to garner popularity with lead roles in the television shows Dastaan (2010), Humsafar (2011) and Zindagi Gulzar Hai (2012). Khan made his Bollywood debut with the leading role of a prince in the 2014 romantic comedy Khoobsurat, for which he won the Filmfare Award for Best Male Debut. In 2016, he received unanimous praise for his portrayal of a troubled writer in the family drama Kapoor & Sons, which also emerged as a major commercial success

BIOGRAPHY OF MAHIRA KHAN


REAL NAME: Mahira Hafeez Khan
DOB: born 21 December 1982
Khan began her career as a VJ when she was 16 years old. She worked as a VJ on Most Wanted on MTV Pakistan and Weekends with Mahira on Aag TV.
In 2011, Khan made her film debut in Bol, directed by Shoaib Mansoor. The same year, she acted in her first television drama,ARY Digital's romance Neeyat.She next appeared in television program Humsafar, for which she received positive reviews.[Her other dramas include the 2013 spiritual romance Shehr-e-Zaat and the 2014 romantic drama Sadqay Tumhare. She played a starring role in a romantic drama, Bin Roye (2015), a supporting role in the biographical drama Manto, and a leading role in coming-of-age drama Ho Mann Jahaan (2016), all of which rank among the highest-grossing Pakistani films.] Khan will appear in Raees, an upcoming Indian film directed by Rahul Dholakia.
Khan was listed tenth in a 'Sexiest Asian Women' poll by Eastern Eye in 2015;[ she was also called Pakistan's sexiest woman in 2015.

Wednesday, 25 May 2016

6 Things You Should Know About Katrina Kaif’s Sister – Isabel Kaif
































Isabel, sister of Katrina Kaif made her debut with the movie 'Dr Cabbie' which was co-produced by Salman Khan's Being Human.


2     Her mother is a Caucasian of British Nationality and her father is a Kashmiri, also of British Nationality.
3     Isabel started her career with modelling at the age of just 14.
She then underwent an acting course at the Lee Strasberg Theatre and Film Institute of New York.
Isabel, who is still looking for a Bollywood break was supposed to act opposite Vinay Virmani in the film, but the role eventually went to Adriane Palicki.
There were also reports of Isabel acting with Anil Kapoor's son Harshwardhan in a short film. We wish her a successful career in Bollywood.


Monday, 23 May 2016

Causes, Symptoms, Tips and Home Remedy Treatment For Swollen Eyes

Your personality determines your condition. And your face parts determine your personality.  Your face parts play an important role in your personality. If you have some disorders related to your face your mood become off and you will not enjoy your friends and family companies. Eyes are important part of your face. When you take stress or take tension and come in contact with thing which cause allergy or have allergic agents your eyes become swell.  And irritation and itchy effect produced by this type of problem. When you do lot of work and do not complete your sleep your some extra pressure applies to your eyes vessels and vessels become swelled. Some people go to doctor for this kind of problem other go to medical shop for drops which can reduce swelling of eyes because swelled eyes look awkward when you are sitting between other people. But these drops and doctors are very expensive and time taking and not very affected in nature. So all the people cannot afford this type of treatment and they are looking for some good and inexpensive treatment for their swelled eyes.
Tips to Reduce Eyes Swelling and Prevent Severe Eye Problems1. Don not come in contact with allergic agents because of these your eyes become swelled.
2. Lack of sleep can cause swelling of eyes so complete your sleep.
3. Chillies and spices can cause swelling of eyes so use spices in your food in less quantity.
4. Dehydration cause swelling of eyes so drink 8 to 9 glasses of water in a day.
5. Remove eye makeup from your eyes before go to sleep.
Swollen Eyes Tips and TreatmentAlong with general tips here are some home remedies for swollen eyes that can reduce or kill swelling of your eyes. And make your eyes beautiful and problems free. These remedies are inexpensive and everyone can apply to their eyes. There is no side effect of these homemade remedies because products used in these are chemical free.
1. Rose WaterBefore go to sleep put rose water into your swelled eyes in the form of drops. Keep your eyes shut for 5 minutes at least so rose water can dissolved in your eyes. Rose water can reduce irritation of eyes and your swollen eyes become normal if you do this process regularly in night.
2. Ice CubesTake two ice cubes and place them on your close eyes. Compressed your close eyes by these cubes and leave them on your eyes for 15 minutes. Ice cubes can kill swelling of your eyes and make you relax.
3. Green Tea BagsTake two cold green tea bags and place them on your eyes. Leave them as long as possible then wash your eyes with chilled water. Green tea bags relax your eyes vessels and reduce eyes swelling.
4. Olive OilApply olive oil your eye with the help of cotton ball and massage your swollen eyes with this oil. Continue this process for a week and you will notice a visible change in your eyes.
5. Cooking Oil
Massage your eyes with cooking oil before go to sleep. Then wash your eyes with chilled water in the morning. This process can reduce your eyes swelling and relax you.
6. Cucumber SlicesPlace cucumber slices on your eyes and leaves them for 15 minutes then washes your eyes with chilled water.
Hope these remedies can solve your swollen eyes problem and give you desire result after 1 or 2 weeks. These remedies are easy to do in home and less time taking. If you have any working and tested tip for solving swollen eyes problem, please share it with others by adding your comment to this post.

Wednesday, 18 May 2016

Dil Tujhe Naaz Hai Jis Shakhs Ki …

Dil tujhe naaz hai jis shakhs ki dildaari par
Dekh!  ab woh bhi utar aayaa adaakaari par
MaiN ne dushman ko jagayaa to bahut tha lekin
Ehtejaajan nahiN jaaga  meri bedaari par!!
Aadmi aadmi ko khyaaye chala jaataa hai
Kuchh to tahqeeq karo is nayi beemari par
Kabhi is jurm pe sar kaaT diye jaate the
Ab to in’aam diya jata hai Ghaddaari par
Teri qurbat ka nasha TooT raha hai mujh mein
Is qadar sahl na ho tu meri dushwaari par
Mujh mein yuN taaza mulaqat ke mausam jaage
Aayiina haNsne lagaa hai meri taiyyari par
Koi dekhe bhare baazaar ki veerani ko
Kuch na kuch muft hai har shai ki kharidari par
Bus yahi waqt hai sach munh se nikal jaane do
Log utar aaye hain zaalik ki tarafdaari par....

Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi

Baat karni mujhe mushkil kabhi aisii to na thi
Jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisii to na thi
Le gayaa chheen ke kaun aaj tera sabr-O-qaraar
Be-Qaraari tujhe ai dil kabhi aisii to na thi
Us kii aaNkhoN ne KHudaa jaane kiya kya jaadu
K tabi’at meri maa’il  kabhi aisii to na thi
Aks-E-ruKHsaar ne kis ke hai tujhe chamkaayaa
Taab tujh meiN mah-E-kaamil kabhi aisii to na thi
Ab ki jo raah-E-muhabbat meiN uThaayi takliif
Sakht hoti hameN manzil kabhi aisii to na thi
Paa-E-kubaaN koi zindaaN meN naya hai majnuN
Aatii aavaaz-E-salaasil kabhi aisii to na thi
Nigah-E-yaar ko ab kyuuN hai taGaaful ae dil
Wo tere haal se Ghaafil kabhi aisii to na thi
Chashm-E-qaatil meri dushman thii hamesha lekin
Jaisii ab ho gayi qaatil kabhi aisii to na thi
Kyaa sabab tu jo bigaDta hai ‘Zafar’ se har bar
Khoo teri huur-shamaail kabhii aisii to na thi........

Rooh Mein Le Ke ZamaanoN ki Thakan Aaye The Hum

Rooh meiN le ke zamaanoN ki thakan aaye the ham
Raat yuN tha k sar e shahr e badan aaye the ham
Khush-libaasi thi jahaaN shart usi mehfil meiN
Log kahte haiN tera hijr pahan aaye the ham
Yaad to hoga khili dhoop ke maanind ik roz
Rauzan E jaaN se teri rooh meiN chhan aaye the ham
Teri aaNkhoN meiN kabhi aaye the hairat ki tarah
Tere maathe pa’ kabhi misl e shikan aaye the ham
Tumko dekha to mili quvvat e goyaayi hameiN
Varna khaamosh the jab shahr e sukhan aaye the ham
Ye to accha hua jee khol ke roya wo hameiN
Kaisa bacchoN ki tarah dhool meiN san aaye the ham
Usne kuchh aisa banaya tha ki bigde hue the
Usne kuchh aisaa bigada tha ki ban aaye the ham......

Woh Dushman E Jaan, Jaan Se Pyaara Bhi Kabhi Tha

Wo dushman-E-jaN, jaan se pyaara bhi kabhi tha
Ab kis se kahaiN, koii humaara bhi kabhi tha
Utra hai rag-O-pai mein to dil kaT sa gaya hai
Yeh zehr-E-judaai K gawaara bhi kabhi tha
Har dost jahaN abr-E-gurezaaN ki tarah hai
Ye shehar kabhi shehr humaara bhi kabhi tha
Titli ke ta’aaqub mein koi phool sa bachcha
Aisaa hi koi khaab humaara bhi kabhi tha
Ab agle zamaane ke milen log toh puchheiN
Jo haal humara hai tumhaara bhi kabhi tha?
Har bazm mein hum ne usay afsurda hi dekha
kahte hain ‘Faraz’ anjuman-aara bhi kabhi tha..........

Peet Karna To Hum Se Nibhaana Sajan…

Peet karna to hum se nibhaana sajan, hum be pahlay hi din tha kahaa na sajan Tum hi majboor ho, hum hi mukhtaar hain, khair maana sajan, yeh bhi maana sajan Ab jo hone ke Qissay sabhi ho chuke, hum tumhein kho chuke, tum humein kho chuke Aagay dil ki naa baatoN mein aanaa sajan, K yeh dil hai sadaa ka diwaana sajan Yeh bhi sach hai na kuchh baat ji ki bani, sooni raatoN mein dekha kiye chaandni Per yeh sauda hai hum ko puraanaa sajan, aur jeene ka apnay bahaana sajan Shahr ke log achchhe hain hum-dard hain, per hamaari suno hum jahaaN-gard hain DaaGh-e-dil na kisi ko dikhaana sajan, yeh zamaana nahi woh zamaana sajan Us ko muddat hui sabr kartay hue, aaj koo-e-wafaa se guzartay hue Poochhh kar is gadaa ka thikaana sajan, apne ‘Insha’ ko bhi dekh aana sajan...

Dil Girafta Hi Sahi Bazm Sajaali Jaye

Dil giraftaa hi sahii bazm sajaali jaye
Yaad E janaN se koi shaam na khaali jaye
Rafta-rafta yahi zandaaN mein badal jate hain
Ab kisi shahr ki buniyaad na daali jaye
Mushaf E rukh hai kisi ka K beyaaz E Hafiz
Aise chehre se kabhi faal nikaali jaye
Wo murawwat se mila hai to jhukadun gardan
Mere dushman ka koi waar na khaali jaaye
Be-nawaa shahr ka saaya hai mere dil pe ‘Faraz’
Kis tarah se meri aashufta khyaali jaye.........

Ab Mehfil E Ghazal Mein Ghazal Aashna Hai Kaun?

Ab Mehfil E Ghazal mein Ghazal aashna hai kaun?
Maanaa K aek hum hain magar dusraa hai kaun?
Qaatil ne jab pukaara K ahl e wafaa hai kaun?
Sab log jab khamosh rahe bol uTha hai kaun?
Tum apni anjuman ka zaraa jaayezaaH to lo
Kahne ko to chiraagh bahut the, jala hai kaun?
Daa’va sukhan ka sab ko hai lekin tamaam umr
Ek dushman e sukhan se mukhatib raha hai kaun?
Sab dekhte jidhar hain udha kya hai kuchh nahi
Hum dekhte jidhar hain udhar dekhta hai kuan?
Tasveer e maikada meri ghazloN mein dekhiye
Sanbhla raha hai kaun, nashe mein gira hai kaun?
Main ek naqsh e paa hun magar main bataunga
Is raah se jo guzra hai woh qaafila hai kaun?
Sab dost aek ek kar ke mujhe chhoRte gaye
Dushman bhi dang hai k ye tanha khaRa hai kaun?
Ghar bhi tera, gali bhi teri, shahr bhi tera
Jo chahe jis ko kah de tujhe rokta hai kaun?
‘Aajiz’ ye kis se baat karo ho ghazal mein tum?
Parda uThao, hum bhi to dekhien chhupa hai kaun?

Darwaza Jo Khola To Nazar Aaye Khare Woh

Darwaza Jo Khola To Nazar Aaye KhaRe Woh
Hairat Hai Mujhe Aaj Kidhar Bhool PaRe Woh

Bhoolaa Nahi Dil Hijr Ke Lamhaat KaRe Woh
Ratein to BaRi ThiN Hi Magar Din Bhi BaRe Woh

KyuN Jan Pe Ban Aai Hai BigRa Hai Agar Woh
Us Ki To Ye Aadat K HawaaoN Se LaRe Woh

KyuN Jan Pe Ban Aai Hai Bigra Hai Agar Woh
Us Ki To Ye Aadat K Hawaon Se LaRe Woh

Alfaz Thay Us Ke K Bahaaron K Payaamaat
Khushbu Si Barasne Lagi Youn Phool JhaRe Woh

Har Shakhs Mujhe Tujh Se Juda Karne Ka KhaaahaN
Sun Paye Agar Aik To Das Ja K JaRe Woh

Bachche Ki Tarah Chand Ko Choone Ki Tamanna
Dil Ko Koi Shai De De To Kia Kia Na ARe Woh

ToofaaN Hai To Kya Gham Mujhe Awaz To Dejiye
Kya BhooL Gaye Aap Mere Kachche GhaRe Woh!

ZamiiN Kaisi Lagegi Aasmaan Kaisa Lagega

ZamiiN kaisi lagegi, aasman kaisa lagega Hamare baad tumko ye jahaaN kaisa lagega Thake haare hue suraj ki bhigi raushni men HawaaoN se ulajhta baadbaaN kaisa lagega Jame qadmon ke niche phisalti jaegi ret Bikhar jaegi jab umr-e-rawaaN kaisa lagega Isi miTTi men mil jaegi punji umr bhar ki Giregi jis ghaRi diwar-e-jaaN kaisa lagega Bahut itra rahe ho dil ki bazi jeetne par Ziyan baad az ziyan baad az ziyan kaisa lagega Wo jis ke baad hogi ek musalsal be-neyazi GhaRi bhar ka wo sab shor o fughan kaisa lagega Abhi se kya bataen marg-e-majnun ki KHabar par Suluk-e-kucha-e-na-mehrbaaN kaisa lagega Batao to sahi ai jaan-e-jaan kaisa lagega Sitaron se bhara ye aasman kaisa lagega

Wafa Ke Baab Mein ILzaam E Aashiqui Na Liya

Wafaa Ke Baab Mein ILzaam E Aashiqui Na Liyaa
Ke Teri Baat Ki Aur Teraa Naam Bhi Na Liyaa
Khushaa Wo Log K Mehroom E Iltefaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz E Saadgi Na Liyaa
Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay
Hazaar Shukar GirebaaN Ko Ham Ne Si Na Liyaa
Tamaam Masti O Tishnaa-Labii Ke Hangaamay
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meenaa Liyaa
‘Faraz’ Zulm Hai Itni Khud Aitmaadi Bhi
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Liyaa....

Bhuli bisri hui yaadoN mein kasak hai kitni

Bhuli bisri hui yaadoN mein kasak hai kitni
Doobti shaam ke atraaf chamak hai kitni
Manzar E gul to bus ek pal k liye Thahra tha
Aati jaati hui saansoN mein mahak hai kitni
Gir ke Too-Ta nahi shayed woh kisi pat-thar per
Uski aawaz mein taabindaa khanak hai kitni
Apni har baat mein woh bhi hai hasinoN jaisa
Us saraapay mein magar nok plak hai kitni
Jaate mausam ne jinhein chhoR diya hai tanha
Mujh mein un TooT-te pattoN ki jhalak hai kitni...

Rona Gana PaR Jata Hai

Ronaa gaanaa paR jata hai
Ishq mein pachRa paR jata hai
TaabereiN aage chalti hain
Khaab akelaa paR jata hai
Main bhi shahr e wafa jaaunga
Kitna kharchaa paR jata hai?
DeewareiN jab girne ko hoN
Dar per jaalaa paR jata hai
 Ek din ankheiN thak jati hain
Ek din ronaa paR jata hai
Tu na ho to dil ka aaNgan
Kaisa soona paR jata hai!

Bhuli Bisri Hui Yaadon Mein Kasak Hai Kitni

Bhuli bisri hui yaadoN mein kasak hai kitni
Doobti shaam ke atraaf chamak hai kitni
Manzar E gul to bus ek pal k liye Thahra tha
Aati jaati hui saansoN mein mahak hai kitni
Gir ke Too-Ta nahi shayed woh kisi pat-thar per
Uski aawaz mein taabindaa khanak hai kitni
Apni har baat mein woh bhi hai hasinoN jaisa
Us saraapay mein magar nok plak hai kitni
Jaate mausam ne jinhein chhoR diya hai tanha
Mujh mein un TooT-te pattoN ki jhalak hai kitni...

Funny Jokes Ajab Si Halat Hai…

Ajab si halat hai tere janay ke bad..
Mujhe bhukh lagti nahin khana khanay ke bad..
Mere pass 2 hi samose the jo maine kha liye..
Ek tere aane se pehle ek tere jane ke baad..!!!

Funny jokes Ankho Me Aansu…

Ankho me aansu..
chehre par hansi hai..
Saanso me aahein..
Dil me bebasi hai..
Pehle kyun nahi bataya ki..
darwaje mein ungli fansi hai..!!!

Haseen Chand Tare Ho Lambi Si Raat Ho

Jee Chahta Hain Tum Se Pyari Si Baat Ho,
Haseen Chand Tare Ho, Lambi Si Raat Ho,
Fir Raat Bhar Yhi Guftagu Rakhe Hum Dono,
Tum Meri Zindagi Ho, Tum Meri Kayinat Ho.

Main Aks Hoon Meri Haqiqat Tum Ho

Main Phool Hun Meri Khushbu Tum Ho,
Main Dil Hoon Meri Dharkan Tum Ho…!!
Main Jaan Hoon Meri Rooh Tum Ho,
Main Jism Hoon Meri Zindagi Tum Ho…!!
Main Aks Hoon Meri Haqiqat Tum Ho,
Main Saya Hun Meri Surat Tum Ho…!!!
Main Lab Hoon Meri Baat Tum Ho,
Main Tab Hu Mukmal Jab Mere Sath Tum Ho..!!
Kyuki Tum Hi Ho Ab Tum Hi Ho Zindagi Ab Tum Hi Ho.

] Suna Hai Aaj Kal Wo Pareshan Rehta Hai

Suna Hai Aaj Kal Wo Pareshan Rehta Hai,
Usse Kehna Be-Fikar Main Bhi Nahi Hu.
Suna Hai Wo Raaton Ko Jaga Karta Hai
Usse Kehna Soti Main Bhi Nahi Hu.
Suna Hai Wo Chhup Chhup Ke Rota Hai
Usse Kehna Hansti Main Bhi Nahi Hoon.
Suna Hai Wo Mujhe Yaad Bahut Karta Hai,
Usse Kehna Bhooli Main Bhi Nahi Hoon.
Suna Hai Usne Wafa Ka Daawa Kiya Hain,
Usse Kehna Bewafa Main Bhi Nhi Hoon..

Likhi Ranjhe Naam Je Heer Hundi – Waris Shah

Ki Mukk Jana Si Waris Shah Da,
Likhi Ranjhe Naam Je Heer Hundi.
Vakh Rooh Naalo Rooh Vi Ho Sakdi,
Nai Dil Cho Vakh Tasveer Hundi.
Nasha Akh Da Ik Vaari Chadh Jave,
Poori Ishq Di Fer Taseer Hundi.
Jhootha Rabb Nu Tussi Kehen Waleyo,
Nigah Meri Naal Je Dekh Lavo,
Jhooth Akh Kade Ni Keh Sakdi,
Nigah Yaar Di Nigahe-E-Peer Hundi.
Teri Akh To Ohle Manu Hunda Na,
Maadi Enni Je Na Taqdeer Hundi.
Waris Shah

Sunday, 15 May 2016

Sadyon Se Ik Sapna Hy

Sadyon Se Ik Sapna Hy,
Kaho Pura Karo Gey Tum?
Bhol Jao Mere Siwa Sab Kuch,
Kaho Aisa Karo Gey Tum?
Nhi Kuch Or Tamana Ab,
K Bus Mery Ho Jao Tum,
Kabi Na Chor K Jao gey,
Kaho Aisa Karo Gey Tum?
Faqt Ik lafz Sunne Ko Kai Barso se Tarsy Hn
MUJHE APNA BANA LO TUM.
Kaho Aisa Karo Gey Tum?

Saturday, 14 May 2016

Dost Kya Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain

Dost Kya Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain,
Har Naye Mod Par Ek Zakhm Naya Dete Hain,

Tum Se To Khair Ghadi Bhar Ki Mulakat Rahi,
Log Barson Ki Rafakat Ko Bhula Dete Hain,

Kaise Mumkin Hai Ke Dhuwan Bhi Na Ho Aur Dil Bhi Jale,
*** Padti Hai To Patthar Bhi Sada Dete Hain,

Kaun Hota Hai Musibat Mein Kisika Aye Sanam,
Aag Lagti Hai To Patte Bhi Hawa Dete Hain,

Jinpe Hota Hai Bahut Dilka Bharosa Jane Kyon,
WaQt Padne Pe Wohi Log Daga Dete Hain...

Azeem Hai Ye Qurbat Ki Dooriyan Bhi

Azeem Hai Ye Qurbat Ki Dooriyan Bhi,
Saath Reh Kar Bhi Usko Na Pana Kaisa Lagta Hai,

Qismat Mein Nahi Phir Bhi Usko Chahte Hai,
Phool Samajh Kar Kaanton Par Chalna Kaisa Lagta Hai...

Ab To Mehfil Mein Bhi Hamare Liye Tanhayi Hai,
Gam Chhupa Kar Mehfil Ko Sajana Kaisa Lagta Hai,

Mehfil Mein Dusron Se Hans Hans Kar Milte Hai,
Tanhayi Mein Gam Ke Aansu Bahana Kaisa Lagta Hai...

Samajhne Par Bhi Samajhta Nahi Hai Ye Dil,
Uski Yaad Mein Raaton Ko Jagna Kaisa Lagta Hai,

Uski Berukhi Ne Itne Diye Hai Zakham Ke,
Zakham Kha Kar Bhi Muskurana Kaisa Lagta Hai...

Jab Wo Hans Hans Kar Baat Karein Dusron Se,
Tab Apne Ansoon Ko Chhupana Kaisa Lagta Hai,

Usse Kho Kar To Mere Paas Raha Kuch Bhi Nahi,
Phir Bhi Khudko Ameer Batana Kaisa Lagta Hai...

Khud Ko Anmol Samajhne Ka Tha Bada Ghamand,
Phir Bhi Be-Mol Bik Jana Kaisa Lagta Hai,

Khaye Hai Dhoke Mohabbat Mein Itne Ke
Phir Bhi Isko Chahna Kaisa Lagta Hai...

Malum Hai Is Deewane Ki Manzil Nahi Hai Koi,
Phir Bhi Safar Karte Rehna Kaisa Lagta Hai,

Wo To Aa Kar Bhi Kab Ke Jaa Chuke Hai,
Phir Bhi Iska Intezaar Karte Rehna Kaisa Lagta Hai...

Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chhod Gaya

Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chhod Gaya,
Jo Puri Na Ho Kabhi Aisi Aas Chhod Gaya,

Wo Chahaton Ki Talab Mann Ki Pyaas Chhod Gaya,
Mujhe Bana Ke Wo Ek Zinda Laash Chhod Gaya,

Yehi Karam Nawazi Uski Mujh Pe Kaam Hai Kiya,
Ke Khud To Door Hai Yaadein To Paas Chhod Gaya,

Jo Khwahishein Thi Kabhi Hasraton Mein Dhal Gayi Ab,
Mere Labon Mein Wo Ek Lafz "KAASH" Chhod Gaya,

Ye Mera Zarf Hai Ek Roz Usne Mujhse Kaha,
Ke Aam Logon Mein Ek Tujhko Khaas Chhod Gaya,

Baharon Se Mujhe Isi Liye To Nafrat Hai,
Inhi Raaton Mein Mujhe Wo Udaas Chhod Gaya,

Ghum Bade Aate Hai Qaatil Ki Nigahon Ki Tarah

Ghum Bade Aate Hai Qaatil Ki Nigahon Ki Tarah,
Tum Chhipa Lo Mujhe Aye Dost Gunahon Ki Tarah,

Apni Nazron Mein Gunehgaar Na Hote, Kyon Kar
Dil Hi Dushman Hai Mujrimon Ke Gawahon Ki Tarah,

Har Taraf Zeest Ki Raahon Mein Kadi Dhoop Hai Dost,
Bas Teri Yaad Ke Saaye Hai Panahon Ki Tarah,

Jinki Khatir Kabhi Ilzaam Uthaye,
Wo Bhi Pesh Aye Hai Insaaf Ke Shaahon Ki Tarah...

Ye Zindagi Badi Ajeeb Si

Ye Zindagi Badi Ajeeb Si,
Kabhi Gulzaar Kabhi Bezaar Si,
Kabhi Khushi Hamare Sath Sath,
Kabhi Gamon Ki Barsat Si,
Ye Zindagi Badi Ajeeb Si...
Kabhi Toofan Mein Bhi Hai Raaste,
Kabhi Manzilon Ka Pata Nahi,
Kabhi Do Kadam Pe Zindagi,
Kabhi Sadiyon Tak Intezaar Si,
Ye Zindagi Badi Ajeeb Si...

Kabhi Har Pal Imtihaan Hai,
Kabhi Bin Maange Inaam Hai,
Kabhi Kuch Nahi,
Kabhi Sab Kuch Si
Ye Zindagi Badi Ajeeb Si,
Kabhi Gulzaar Si Kabhi Bezaar Si...

Zaat ban k meri zaat me raha krta he

Zaat ban k meri zaat me raha krta he

Ik shakhs he jo mjh me basa krta he

mery chehry me nazar aata he chehra us ka
uska tabbasum mery honton pe khila krta he

mere lafzon se ada hoti he baatain uski
mere lehje se gharoor us ka chalka krta he

meri neendon pe he barson se hakoomat uski
khwab ban k wo meri palko pe saja krta he

is had tk meri hasti main moujood he wo shakhs
mery har naksh me aks us ka mila krta he

Dost ne dost ko gulab

Dost ne dost ko gulab bheja hai
taaro ne aasmaan se paigam bheja hai

ae hawao jakar kahdo bhool jane walo se
yaad karne walo ne salaam bheja hai

Kissi Roz Shaam Ke Wakt

Kissi Roz Shaam Ke Wakt
Sooraj Ke Aaram Ke Wakt..

Mil Jaye Sath Tera
Hath Mein Le Ker Hath Tera..

Door Kahein Tanhai Mein
Dunya Se Judai Mein..

Apne Sang Bithaoon Tujhe
Dil Ka Haal Sunaoon Tujhe..

Teri Izzat Ehtraam Karun
Tere Hathon Ki Lakeeron Mein
Talash Apna Naam Karun..

Aao Ek Irrada Karein
Phir Milne Ka Wada Karein..

Kissi Roz Shaam Ke Wakt
Sooraj Ke Aaraam Ke Wakt..!!

Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui

Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia
Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia
Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia
Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia
Ghazala rahat
“Faraz” Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia

Ek tooti PREM kahani

Ek tooti PREM kahani
Fark sirf itna sa hai
Uski barat gayi,
Iski mayat uthi.
Phool us par bhi the,
Phool is par bhi the.
Mehfil waha bhi thi,
Log yaha bhi the.Wo doli pe thi,
Yeh janaze pe tha.
Unka hasna waha,
Inka rona yaha.
Saheliya uski bhi thi,
Dost iske bhi the.
Qazi udhar bhi the,
Molvi Idar bhi the.
Wo saj k gayi,
Ise sajaya gaya.
Wo uth k gayi,
Ise uthaya gaya.
Fark sirf itna sa hai,
USE APNAYA GAYA AUR ISE DAFNAYA GAYA.

Aansu`oon ki Tarah Nazron

Aansu`oon ki Tarah Nazron say Giraya Us Ne
Apni khabar Na Mili Kuch Aise khak Mein Milaya Us Ne,
Elzaam Mujh Pe Lagaaya Magar Bewafa khud Tha
Pehle Dewana Banaya Phir Mujhey Thukraya Us Ne,
Usko Mazaa Aata Hai Mujhko Sataane Mein
Mujhe Geeli Lakri ki Tarah Jalaya Us Ne,
Aaya Na Tha Us ko Wadaa Wafaa Karnaa
Logon ko Jhota Apni Wafa ka Qisa Sunaya Us Ne,
Tanhayon K Dard Se khoob Waqif Tha Woh “FARAZ”
Pher Bhi Dunya Mein Mujhe TANHA Baanaya Us Ne.

Meharbaan mujh pe thy halat

Meharbaan mujh pe thy halat kbi yun b tha,
Hum raha krty thy ik sath kbi yun b tha,


Ab to perchaian b uski milny ni aateen,
Roz hoti thi us sy mulaqat kabhi youn b tha,

Ab to Khushian b juda gham b hain juda,
Hansty roty thy hum ik sath kbi yun b tha,

Dekhna b jo gawara ni krta ik pal b mujko,
Dekha krta tha meri rah kbi yun b tha,

Ab to rony say b fursat nhi milti mujhko,
Hansta rehta tha main din raat kbi youn b tha

Tum hasti ho mujhe hasane

Tum hasti ho mujhe hasane ke liye
Tum roti ho mujhe rulane ke liye

Tum ek bar rooth kar to dekho
Mar jaoun ga tumhein manane ke liye......

Mene khuwaab dekha hai

Mene khuwaab dekha hai
Zalzala sa aya hai
Asmaan k taray
Toot toot girtay hain
Taj k sabhi heeray
Be waqar phirtay hain
Chehra munawar hai
Khaak o khoon main ghaltida
Is zameen k basi
Khakada k ye zaray
Andhiyon k kandho par
Kehkashan musafir hain..!!

Juda Tum Se Huey

Juda Tum Se Huey Hn To Kisi Se Hum Nhi Milty
Koi hum Se Mily Bhi To Khushi Se Hum Nhi Milty

Agr Pathar Ho Tum, To Aao Betho Hum B Pathar Hn
Agr Ho Aadmi, To Aadmi Se Hum Nhi Milty

Hum Apni Zaat Mein Sehra Hn Sehraon Se Yaari Hy
Kisi Darya Samandar Ya Nadi Se Hum Nhi Milty

Hmein Murda Dili Tohfy Mein Tum Ne Hi To Bheji Thi
Gila Mat Kr Jo Ab Zinda Dili Se Hum Nhi Milty

Hmari Zindgi Hy wo Agr Uss Ki Khushi hy To
Chalo kuch Roz Apni Zindgi Se Hum Nhi Milty

Faqeeron Ko Faqeeron Ki Rafaqat Raas Aati hy
Sakhi Aaen To Keh Dena Sakhi Se Hum Nhi Milty

Phool khilte rahein zindgi

Phool khilte rahein zindgi ki raah mein
Hassi chamakti rahe aapki nigaah mein
Kadam kadam par mile khushi ki bahar aapko
Dil deta hai yehi dua baar-baar aapko

Apne Ahsas Se Chu Kar Mujhe Sandal Kar Do

Apne Ahsas Se Chu Kar Mujhe Sandal Kar Do
Main Sadiyon Se Idhoora Ho Mukamal Kar Do

Na Tumhe Hoosh Raha Na Mujhe Hoosh Raha
Iss Qader Toot Ker Chaho Ki Mujhay Pagal Kar Do

Tum Hathali Ko Mara Pyaar Ki Mehndi Say Rang Do
Apni Ankhon Main Mara Naam Ka Kajal Kar Do

Dhoop Hi Dhoop Hon Main Iss Tarha Too Kar Bersoo Mujh Per
Main To Sehra Ho Mujhay Pyaar Ka Badal Kar Do

Iss K Saya Main Mara Khawab Mahek Jayin Ga
Mare Chehray Per Umeddon Ka Anchal Kar Do

Apne Honton Ki Moher Lagaoo Mujh Per
Ek Nazer Pyaar Say Deakho Mujhay Ghayal Kar Do

Faqat ek baat kehna chahta hun

Faqat ek baat kehna chahta hun
Teri ankhon main rehna chahta hun

Bohat jaag chuka hun tere hijr main
Tere anchal main sona chahta hun

Zamane bhar ki khushian aur tera gham
Ye gham me kuch aur ab sehna chahta hun

Dil ko tote hove arse hove

Dil ko tote hove arse hove
tum se bichre hove arse hove

meri hr bate pur faraib shahi
sach se bichre hove arse hove

tum gye hoe tu muje raat mele
din se bichre hove arse hove

khod se tanhae mai milte hai zaror
jaa se bichre hove arse hove

jub mele te wo muje yaad hai zaror
tub se bichre hove arse hove

Ghazal : Ik Shakhs Ko Chaha Tha Apno Ki Tarah Hum Ne

Ik Shakhs Ko Chaha Tha
Apno Ki Tarah Hum Ne
Ik Shakhs Ko Rakha Tha
Taron Ki Tarah Hum Ne
Wo Shakhs Qayamat Tha
Kaya Kary Us Ki Batein
Ik Shakhs Ko Mana Tha
Khushboo Ki Tarah Hum Ne
Din Us Ke Liye Payda The
Thee Us K Liye Ratein
Kab Milta Tha Wo Kisi Se Wo
Bus Hum Hi Theen Mulakatein
Ik Din Wo Shakhs Hum
Ko Apno Ki Tarah Bhoola
Phoolon Ki Tarah Bikhra.
Taron Ki Tarah Toota
Par Tum Kiyun Yun Chonkey Ho?
Kab Zikr Tumhara Hai?
Kab Tum Se Khawahish Hai?
Kab Tum Se Umeedein Hai?
Kab Tum Se Tamanna Hai?
Kab Tum Se Taqaza Hai?
Ik Taaza Haqayat Hai Sun Lo To Inayat Hai
Ik Shakhs Ko Chaha Tha

mera her lfz teri hr baat sy

mera her lfz teri hr baat sy acha hoga....
mera hr din teri hr raat sy acha hoga
dekh lena in chamakti ankho sy
mera janaza teri barat sy acha hoga....!!!

Kabhi nazrain milanay main

Kabhi nazrain milanay main
zamanay beet jatay hain

Kabhi nazrain churanay main
zamanay beet jatay hain

Kisi nay aankh bhi kholi to
soonay ke nagrii main

Kisi ko gher bananay main
zamanay beet jatay hain

Kabhi kaali siyah raatain
humain ek pal ke lagti hain

Kabhi ek pal bitanay main
zamanay beet jatay hain…!

Sadyon Se Ik Sapna Ha

Sadyon Se Ik Sapna Hy,
Kaho Pura Karo Gey Tum?
Bhol Jao Mere Siwa Sab Kuch,
Kaho Aisa Karo Gey Tum?
Nhi Kuch Or Tamana Ab,
K Bus Mery Ho Jao Tum,
Kabi Na Chor K Jao gey,
Kaho Aisa Karo Gey Tum?
Faqt Ik lafz Sunne Ko Kai Barso se Tarsy Hn
MUJHE APNA BANA LO TUM.
Kaho Aisa Karo Gey Tum?

Aapki palkon pe khawab

Aapki palkon pe khawab rakh gaya koi
Aapki saanson pe naam likh gaya koi
Chalo vaada hai aapse bhool jana hame
Agar humse achha dost aapko mil gaya koi

Aapki palkon pe khawab

Aapki palkon pe khawab rakh gaya koi
Aapki saanson pe naam likh gaya koi
Chalo vaada hai aapse bhool jana hame
Agar humse achha dost aapko mil gaya koi

Wo shakhs meri jaan bana rehta

Wo shakhs meri jaan bana rehta hy,
Uska pyar meri pehchan bana rehta hy,

Koi muntazir hy uska kitni shiddat se,
Wo janta hy magar anjan bana rehta hy...

Har Sans Ma Tujhe Meri Awaz Ayegi

Har Sans Ma Tujhe Meri Awaz Ayegi,
Na Chahte Huay B Tujhe Meri Yaad Ayegi ,
Machal Joagy Mujhe Milne KO,
Jab Moat Mujhe is Dunya SE Door Lay Jayegi......!!!!!!!

Sadyon Se Ik Sapna

Sadyon Se Ik Sapna Hy,
Kaho Pura Karo Gey Tum?
Bhol Jao Mere Siwa Sab Kuch,
Kaho Aisa Karo Gey Tum?
Nhi Kuch Or Tamana Ab,
K Bus Mery Ho Jao Tum,
Kabi Na Chor K Jao gey,
Kaho Aisa Karo Gey Tum?
Faqt Ik lafz Sunne Ko Kai Barso se Tarsy Hn
MUJHE APNA BANA LO TUM.
Kaho Aisa Karo Gey Tum?

Rah cHalty kiSi nE huM

Rah cHalty kiSi nE huM se ph0ch lia kySay ho?
Hum ne JaWAb dia
zInDaGe mAin GhAm hai
GhAm mAin dArd hAi
dArd mAin maZa Hai
0r maZay main hyN huM.......

Friday, 13 May 2016

Train ke Peche Bhag

Char sardar train ke peche bhaag rahe the
Do train per charne me kameeb ho ge.
Logo ne kaha sardar jee Welldone.
Sardar: Khak welldone.
Jana unho ne tha jo neche reh ge
Hum to chorne aye the

Aurat Train Se Utri

Ek Aurat train se utri
usne sardar se pucha: ye koun sa station h?
.
.
.
.
Sardar hanste hoe Bola:
?Bewkuf Ye Railway Station Hai?

2 Baje 2 Bacho Ke Baap

Sardar hospital pouncha to nurse ne batya
Mubarak ho is waqt 2 baj rahe hai
Aur ap 2 bacho ke baap bune hai
Sardar: Khuda ka sukar hai ke
mein 12 baje ni aya

Jane Ka Intazar

Miss: AGar tumhare pas 2 Apple hai
Aur tumhare ghar 3 mehman aa jaye Tu tum kia karogy
SarDar: Unke jane ka intezar

Mangetar Hote

Sardar bohat dair se
apni khobsurat mangetar ko dekh raha tha
Larki sharma ke boli kiya dekh rahe ho?
Sardar: mein soch raha tha ke agar tum
mere ami hote to mein be kitna khubsurat hota

Rishta Dekne Gya

Sardar apna rishta dekne gya
Ghar walo ne dono ko akele chor diya
Sardar: Baji ap kitne bhai behan ho?
Larki Gussay Mein: Pehle 8 thy ab 9 ho ge hai

Us Ko Juda Hoye Bhi

Us Ko Juda Hoye Bhi Zamana Bohat Hua
Ab Kyaa Kahen Ye Qissa Purana Bohat Hua
Dhalti Na Thi Kisi Bhi Jatan Se Shab-e-firaq
Ai Marg-e-na-gahan Tera Aana Bohat Hua
Ham Khuld Se Nikal To Gaye Hain Par Ai Khuda
Itne Se Vaqiye Ka Fasana Bohat Hua
Ab Ham Hain Aur Sare Zamane Ki Dushmani
Us Se Zara Sa Rabt Barhana Bohat Hua

Jism Mera Mitti ka

Jism Uska Bhi Mitti Ka Hai Mujh Jesa
FARAZ
Phir Mera Hi Dil Uska Talab-Gaar Kiu H

Rooh ko Jism Se

Apni wafa ka itnaa daawaa na kar FARAZ,
Mein ne rooh ko jism se bewafaai kartey dekha hai.

Aksar Masoom Hote

Aik pal Mai Jo barbad kr dyty hain
dil ki basti ko faraz
Vo log dekhny Mai aksar masoom hoty hain.

Wafa Agar Hote

wafa agar hoti khoon k rishtoon main faraz
kabheee yousif nain bikta missar k bazaoon main

Dedar Ke Khatir

Hasrat e dedar ke katir
Us Mohalle mein easy load
Ke dukan kholi the faraz
Roz aik naya shaks us number
per 100 ka load kerwa jata hai

Pathan Jokes

Pathan ki 2 Bvyan Lar pari. 1 boli k Aaj sunday Hay, 2sari boli ni aj Mondy Ha.
Pathan Tng Aa k Bola: Ma kya Pagal Hun Jo Juma parh k Aya?

Dost Sardar SmS

DOST: Aj menu ajeeb msg Aya, te mera mobile off hogya.
SARDAR: Ki msg si.?
DOST: Battery low.
SARDAR: Menu v Send kr Sab nu tang karan ga.

Beta Sardar Funny Sms

Beta Tumhari Age Kya Hai.?

SARDAR G: Ghar Mein 14, School Mein 12, Train Mein 7, aur Facebook Pe 18 Saal

facebook funny sms

Facebook pe Fake IDs chalaney walon:

Tum Larki to ban gye pr tumhare liye 1 buri khabar hai..

Tum kabhi MAA nahi ban paaoge:)

Boy Girl SmS

Boy: Tum Boht Khubsurat Ho

Girl: Ap B Boht Khubsurat Hn

Pas Se Admi Guzra to Bola:
Date Se Farigh Ho Kr Dono Apni Nazren Test Krwa Lena

funny anmol batain

Anmol Bat
ZINDAGI  Mai  2 Cheezain Apna
    'HAQ'
Samajh Kr Laina:-
.
.

1. Sabzi K Sath  Dhaniya ...
2. Samosey K Sath Chatni...!!

WIFE HASBAND SMS

Wife: Janu,
Saturday picnic
Sunday movie and

Monday shopping,

Tuesday hotel,

Wednesday outing,

Thursday dinner,

Kitna Maja aayega !!

Husband : Yes !!! Aur Friday Masjid ke Bahir !

TEACHER PATAHN SMS IN URDU

Teacher: A.B.C sunao Pathan: A . B . C Teacher: Aur sunao Pathan: Aur Allah ka shukr hay sub theek thaak. aap sunao.

BOYS GIRLS FUNNY SMS

Arzz kya hai:


Pewasta reh shajar se umeed-e-
bahaar rakh,



Bachay 2 he achy, biwiyan
beshak 4 rakh.

SARDAAR FUNNY SMS IN URDU

Sardar:

Ye tu kesi Maachis laya he, 1
b tili Nhi
Jalti.
Son:
Kiya bat
Krte ho abba,
1,1 tili chek
Kar k laya hu,
Sub jal Rahe
Thay.